sada e matam gali gali se
nagar nagar se jo aa rahi hai
suno tumhe sheh ke pursadaron
sada e hal min bula rahi hai
ya hussain ya hussain
lo aagaya moharram nikla hilal e gham
sab apne gham bhula kar allah ki qasam
har ek bibi hamare ghar ki
alam jari ka saja rahi hai
sada e matam...
farshe aza ki jaanib saare higaam zan
kaale libaas pehne atfaal o mard o zan
hamari tarha tamaam dunya
hussain ka gham mana rahi hai
sada e matam...
pyason ki ye sabeelein abbas ke alam
taboot taaziye aur aaye sada e gham
ye aah o zaari ye pusadaari
zamane bhar ko hila rahi hai
sada e matam...
atfaal e karbala ki tasnhalabi ka gham
ek matami ki maa ko hai yaad dam ba dam
balayein le ke wo dekhein apne
pisar ko saqqa bana rahi hai
sada e matam...
aezaaz juz hamare haasil hai ye kise
farshe aza ke sadqe chauda sau saal se
hamare ghar dukhtare payambar
ba-taur e mehman aa rahi hai
sada e matam...
ghame shaahe karbala mein nauhon ka kaarwan
hai zulm ki fiza mein mazloom ki azaan
qasam khuda ki sada hamari
tamaam aalam pe chaa rahi hai
sada e matam...
dar shaahe karbala ka har waqt hai khula
darbaar e panjatan hai ye masnad e aza
ke aasiyon ko mukhaalifon ko
ye aaj bhi hurr bana rahi hai
sada e matam...
ashk e aza ke darya aankhon mein maujizan
sar chashma ashke gham ka hai ek bekafan
karash ke gham ki hai kaat aisi
ke zaalimon ko sata rahi hai
sada e matam...
kaise hameed o safdar matam ki ye sada
aiwaan zaalimon ke seh payenge bhala
jo mujrimon ke thay rukh pe parde
sada e matam hata rahi hai
sada e matam...