awaaz de rahi hai ye zahra utho utho
phir gham ka chand arsh pe nikla utho utho
is chand mein hamara bhara ghar ujad gaya
naiza ghamon ka mere kaleje mein gad gaya
mera hussain mar gaya pyasa utho utho
awaaz de rahi hai...
utho karo hussain ki majlis ka ehtemam
karna hai tumko maahe muharram ka intezam
dekho yehi hai meri tamanna utho utho
awaaz de rahi hai...
utho ki aa gaya hai wohi gham ka mahina
jis mein yateem ho gayi masoom sakina
aayi hai mere saath yateema utho utho
awaaz de rahi hai...
rona hai usko jis pe layeeno ne ki jafa
dashte bala mein jisko kafan bhi na mil saka
mai uska lene aayi hoon pursa utho utho
awaaz de rahi hai...
godhi mein meri kaata gaya hai sar e hussain
batlao kaise aaye bhala maa ke dil ko chain
phat'ta hai mera gham se kaleja utho utho
awaaz de rahi hai...
mai uski maa hoon maara gaya hai jo tishna kaam
waqte akheer bhi jo tumhe keh gaya salaam
tum ho usi ghareeb ke shia utho utho
awaaz de rahi hai...
is khair ke ewaz mein tumhe bakhshwaungi
tum ko liye bina mai na jannat mein jaaungi
zahra ye tumse karti hai waada utho utho
awaaz de rahi hai...
waiz khareeb e maahe muharram yehi sada
aati hai mere kaano mein reh reh ke baareha
likhna hai mere laal ka nauha utho utho
awaaz de rahi hai...