Kanz e Aza

Aagaya Maahe Aza

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza, written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

gham ki chaayi hai ghata aansu bahalo momino

aagaya maahe aza aansu bahalo momino


haye darya ki tarayi par jari abbas ka

zulm se baazu kata aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...


chand dikhte hi falak par saj gaye har ghar alam

aur bicha farshe aza aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...


akbar o aun o mohamed qasim e naushah ko

yaad karke tum zara aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...


shaah ke haaton pe teere hurmala ki nok se

halqe asghar bhi chida aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...


baade ashoora sabhi saydaniyo ke haye haye

chin gayi sar se rida aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...


apne aansu marhame zakhme shahe mazloom hai

kuch nahi iske siwa aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...


jab bhi aajaye moharram zindagi may ay bober

kehte rehna tum sada aansu bahalo momino

aagaya maahe aza...