Kanz e Aza

aayi haatif ki aawaz sheh ko

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Aayi haatif ki aawaz sheh ko utro Shabbir ye karbala hai

Bas qadam ab na aage badhaao utro Shabbir ye karbala hai

Ab safar qatm hai ibne Zahra, labe darya karo qaima barpa

Hashr tak hai yahi’n tumko rehna utro Shabbir ye karbala hai


Yahi’n nau roz mehmaa’n rahoge, khaane peene ki eeza sahoge

Bhooke pyaase yahi’n qatl honge utro Shabbir ye karbala hai

Marte dam bhi na paani milega, pyaasi gardan pa qanjar chalega

Sar chadega sina pa tumhara utro Shabbir ye karbala hai


Laash chaalees din tak tumhari, Isi jungle me uryaa’n rahegi

Rone waala bhi hoga na koi utro Shabbir ye karbala hai

Khaaegi jab sakina tamaacha, yahi’n tadpega laasha tumhara

Shimr dega yahi’n usko eeza utro Shabbir ye karbala hai


Raahwaar apna sarwar ne roka, utre baaqar wahi’n shaahe waala

Haatife ghaib jis dam pukaara utro Shabbir ye karbala hai