ay azadaron sheh ke pursadaron
aagaya maahe moharram aao tayyari karein
karbala waale shaheedon se wafadari karein
royein zainab ki rida ko gham kare shabbir ka
mil ke sab aale mohamed ki azadari karein
aagaya maahe moharram...
farsh hum dil mein bicha ke matami mil kar sabhi
majlis e shabbir barpa zindagi saari karein
aagaya maahe moharram...
matame shaahe saheedan kar ke sab ahle aza
sog mein ibne ali ke girya o zaari karein
aagaya maahe moharram...
kar ke izhaar e aqeedat fatema ke laal se
ehtemam e zuljanah o taziyadari karein
aagaya maahe moharram...
kar ke matam sheh ka de ke ya hussaina ki sada
gham ali ke laal ka kayenat par taari karein
aagaya maahe moharram...
maalik e kausar labe darya huwe pyase shaheed
naam par unke sabeelein hum sada jaari karein
aagaya maahe moharram...
matam e shabbir hai jawad saaman e shifa
jo bhi dushman hai azaa ke unse bezaari karein
aagaya maahe moharram...