shaam haye shaam
mai zainab hoon aseer e shaam nana
bacha ke laayi hoon islam nana
main apne baap ki zeenat thi lekin
hai ab ummul masayib naam nana
mai zainab hoon...
kahin patthar kahin par taaziyane
sitam sehti rahi har gaam nana
mai zainab hoon...
kaha baaghi hussain ibne ali ko
diya ummat ne ye inaam nana
mai zainab hoon...
tumhare sar se bhi hizyaan waala
mita ke aayi hoon ilzaam nana
mai zainab hoon...
diya jab hyderi lehje mein khutba
larazta tha faqeer e shaam nana
mai zainab hoon...
bachayi laaj jis ne ambiya ki
mai kar ke aayi hoon wo kaam nana
mai zainab hoon...
na aankhon se lahoo sajjad rota
na jaate hum jo kufa shaam nana
mai zainab hoon...
kaha jawad zainab ne rahega
tumhara hashr tak paigham nana
mai zainab hoon...