Kanz e Aza

Shabbir Tera Matam

A noha written by Jawad Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

matam karo shabbir ka haye zainab e dilgeer ka

shabbir tera matam momin ki nishani hai


bakshish ki zamanat hai jo aankh mein pani hai

shabbir tera matam momin ki nishani hai


ye daagh nahi logon hai moajza matam ka

seene pe likhi mere karbal ki kahani hai

matam karo shabbir ka...

shabbir tera matam...


ghazi ka alam le ke bazaar mein aaye hai

rudaad aseeron ki dunya ko sunaani hai

matam karo shabbir ka...

shabbir tera matam...


zainab ne shuru ki thi zindan mein azadari

sadiyon se chali aayi ye reet purani hai

matam karo shabbir ka...

shabbir tera matam...


aati hai sada ab bhi karbal ki fazaon se

shabbir haqeeqat mein islam ka baani hai

matam karo shabbir ka...

shabbir tera matam...


de pursa bahattar ka zahra ke lute ghar ka

har saal moharram mein ye yaad dilaani hai

matam karo shabbir ka...

shabbir tera matam...


mazloom ke matam mein marna hi sa’adat hai

waise bhi jawaad ek din ye jaan to jaani hai

matam karo shabbir ka...

shabbir tera matam...