ay ahle aza ay ahle aza
khoon se jala gaye jo shaheedane karbala
yehi charagh jalenge to roshni hogi
ghar ghar biche farshe aza
dil mein ho gham shabbir ka
aankhon mein ho ashk e aza
majlis hussain ki ho
ya matam hussain ka
yehi charagh jalenge...
abbas saqqa e haram
jiske huwe baazu qalam
phir bhi raha ooncha alam
har ghar pe bawafa ka
ye parcham rahe sada
yehi charagh jalenge...
malboos ho tan par siyaah
ghar ho hussaini baargah
mashk o alam ye zuljanah
ye taaziye ye jhoole
sabeelon ka silsila
yehi charagh jalenge...
emaan ki pehchan hai
ye zeenat e maidan hai
nusrat ka ye aelaan hai
naara e hyderi hum
lagayenge jaa bajaa
yehi charagh jalenge...
paidal najaf ta karbala
jaari safar hai ishq ka
tay ho raha hai faasla
ta hashr na ruke ye
azadaar khaafela
yehi charagh jalenge...
abid ka gham akbar ka gham
qasim ka gham asghar ka gham
ye gham kabhi hoga na kam
sog aal e mustafa ka
manayenge hum sada
yehi charagh jalenge...
karbobala kufa o shaam
ahl e haram balwa e aam
hum yaad rakhenge tamaam
binte ali ke khutbe
na bhoolenge ba khuda
yehi charagh jalenge...
tum bhi jawad o shadman
nauhon ki do mil kar azan
matam kuna ho ye jahan
labbaik ya hussaina
labon par ho ye sada
yehi charagh jalenge...