aap se aap yuhin jab zikr kahin sheh ka chida
aa gayi khinchke wahin karbobala
behre talqeen ali aayenge baali pe meri
qabr may aayegi jannat ki hawa
aap se aap yuhin…
wo chali binte asad khil uthi deewar e haram
dar naya kaabe may tayyaar hua
aap se aap yuhin…
haq kahin cheen ke milti hai jahan may iqlaq
yun to ban baitha tha firaun khuda
aap se aap yuhin…
ittefaqan jo hati chehra e akbar se niqab
ashkiyan padne lagay salle alaa
aap se aap yuhin…
allah allah wo asghar ka jihad e akbar
rakh diya nok pe nawak ka gala
aap se aap yuhin…
us taraf ghode se abbas taraai may gire
is taraf gir gayi zainab ki rida
aap se aap yuhin…