as salaam ya zahra
yunhi dar e zahra pe malayek nahi jhukte
mahboob e khuda khud bhi thay azeem ko uth'te
salman zaeefi mein khuda jaane ke kaise
chunte rahe sarwar ki tehreer ke purze
yunhi dar e zahra pe...
afsos musalman ne usi ghar ko jalaya
jis dar pe to allah ke payambar bhi thay rukte
yunhi dar e zahra pe...
islam ka mafhoom kabhi poora na hota
tatheer ke gulshan mein agar phool na khilte
yunhi dar e zahra pe...
islam ki wahdat ka taqaza to nahi tha
ay kaash kabhi musalman firkon mein na bat'te
yunhi dar e zahra pe...
maqdooma ko ameer wo haq dete na dete
wajib tha musalman par tazeem to karte
yunhi dar e zahra pe...