Kanz e Aza

Zainab se Pehle Zahra Darbaar Main Gayi

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Ummat Nay Kahan Laa Kay Kardha Kardiya Mujhay, Beti Rasool Ki


Hasnain Sharifain Bhi Rotay Rahay Kharay,

Darbar Mein Maa Chunti Rahi Sanad Ke Tukray,

Sub Log Hans Diye, Zahra Ki Ghasibon Ne Tazeem Khoob Ki.


Haye Baad Nabi Zahra Ko Ronay Nahi Dia,

Jaltay Huey Darwazay Se Pehlu Kiya Zakhmi,

Ummat Nay Kia Kiya, Kaisi Batool Pey Haye Aayi Hai Bebasi.


Yarana-e-Mohammad Nay Hai Zahra Ko Dukh Dia,

Loota Hai Musalmanon Nay Haq Aal-e-Aba Ka,

Yaad Aayi Karbala, Apnay Pidr Ko Logon Beti Na Ro Saki.


Jibreel Jis Bibi Ke Dar Ka Khayat Hai,

Mazlooma-o-Mehrooma Ke Shohar Ke Haath Mein

Sub Kainaat Hai, Usnay Sitam Bhi Jhelay, Par Baddua Na Di.