jab chal raha tha khafela aale rasool ka
zainab se poochti thi sakina ye baar baar
kitna hai door ay phupi ab shaam ka darbar
shimr e layeen ne cheeni jo kaano ki baaliyan
uth uth ke gira laasha e abbas alamdar
zainab se poochti thi...
abbas se kehde koi ye nehr pe jaa ke
behaal sakina hai aur neele hai ruqsaar
zainab se poochti thi...
girti hai kabhi uth'ti hai masoom yateema
pabande rasan hai gala aur chalne se lachaar
zainab se poochti thi...
manzil bazaar e shaam ki hoti khatam nahi
hai sar barehna bibiyan aur abid e bemaar
zainab se poochti thi...
irfan jiska seena e shabbir tha bistar
soti hai tanha khaak pe koi nahi ghamkhwar
zainab se poochti thi...