Zinda Me Tha Sakina Ka Nouha Mere Baba
Dasta Hai Mere Dil Ku Aandhera Mere Baba
1.Hai Saath Mere Shaam-e-Ghareeba Ke Aandhere
Kya Janiye Kal Honga Sawera Mere Baba
2.Is Sin Me Judai Ka Garabar Uthao
Lao Main Kahan Se Wo Kaleja mere Baba
3.Aatey Hai Agar Yaad Mujhe Apke Boose
Padhta Hai Muh Pa Tamacha Mere Baba
4.Dadi Ki Tarha Todh Gayi Phasliya Meri
Wo Dard Hai Pal Bhar Nahin Thamta Mere Baba
5.Sab Log Reha Hokey Chale Jaienge Yasrab
Rehjaungi Main Qaid Me Tanha Mere Baba
6.Yeh Dekhiye Khuli Mera Khaicha Hau Bundhe
Mera Hai Meri Pusht Pe Naiza Mere Baba
7.Kya Ab Mujhe Dekhunge Toh Paichan Sakunge
Badla Hai Ghamou Se Mera Chehra Mere Baba
8.Is Khakh Ke Bistar Ne Mujhe Mardiya Hai
Uthti Hu Toh Yeh Jism Hai Dukhta Mere Baba
9.Hai Dil Se Bilal Apka Ghamkhar Azadar
Sadqe Me Usse Apke Bakhsha Mere Baba