Kanz e Aza

Zinda Rahe Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by N. Sarwar, J. Jaffri & H. Naqvi (2025). Lyrics in Roman Urdu.

jaan e sakina bhi alamdar bhi

chadar e zainab ka nigehdar bhi

aale mohamed ka wafadar bhi

sabr e hussaini bhi zulfeqar bhi


aisa na koi dekha na hai na koi hoga

bas ek hai bas ek hai jeedaar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


ay sabre dashte karbala jalaale lashkare khuda

alamdar alamdar alamdar alamdar


abbas salamat rahe ye naam tumhara

ye naam jahan jis ne bhi jab jab hai pukara

har baar ye dil tez dhadakta hai hamara

ye naam hi aisa hai hyder ke hi jaisa hai

is naam se kitna hai hamein pyar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

alamdar alamdar alamdar alamdar


kis shaan se abbas alam tum ne uthaya

kya khoob alamdari ka hai farz nibhaya

phir aisa alamdar zamane mein na aaya

goonjega sada naara abbas alam waala

tareekh pukaregi alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

ay sabre dashte karbala jalaale lashkare khuda

alamdar alamdar alamdar alamdar


hai kaun jo shabbir ka har dam hai wafadar

awaaz fizaon se ye aati hai ba-takraar

abbas e alamdar hai abbas e alamdar

kya tu ne hasham paaya maula se alam paaya

har hukm pe aaqa ke hai tayyaar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

alamdar alamdar alamdar alamdar


kehti thi ye zainab ke khuda is se hai raazi

ye hai meri chadar ka muhafiz mera ghazi

is ke liye ek khel hai ye jaan ki baazi

ye jaan lutadega faujon ko hatadega

ban jayega qaimon ki ye dewaar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

ay sabre dashte karbala jalaale lashkare khuda

alamdar alamdar alamdar alamdar


darya pe to laakhon hai khade zulm ke baani

lekin isay mashkeeze mein laana bhi hai pani

ab jaan se bad kar hai sakina ki nishani

darya pe to jaana hai mashkeeza to bharna hai

ab jo bhi ho dekhega wafadaar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

alamdar alamdar alamdar alamdar


bhoolenge na abbas tera nehr pe aana

darya pe alam gaad ke naara ye lagana

darya ye hamara hai sune saara zamana

kya kaam kiya wallah abbas subhanallah

ye hai teri shaahi teri sarkar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar


har dam hai sadaon mein alamdar alamdar

zinda rahe zinda rahe abbas alamdar

ay sabre dashte karbala jalaale lashkare khuda

alamdar alamdar alamdar alamdar