Kanz e Aza

Aaja Abbas Tujhe

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Khursheed Haider. Lyrics in Roman Urdu.

aaja abbas tujhe ro ro bulaye zainab

kaise pabande rasan shaam mein jaaye zainab


kya karun ye to bata bhai nahi sar pe rida

sar pe baba bhi nahi kaun sune meri sada

hukm zaalim ka hai darbar mein aaye zainab

aaja abbas tujhe...


mera baba hai ali aur mera nana nabi

dard o gham seh ke bhi mai deen bacha kar hoon chali

shaam mein goonj rahi thi ye sada e zainab

aaja abbas tujhe...


baad shabbir ke saaye mein nahi aayi rabab

ghamzada behen ko is baat ka de bhai jawab

dhoop se usko bata kaise uthaye zainab

aaja abbas tujhe...


shaam manzil hai meri bhai hai be-gor o kafan

na hi matam hai kiya na hi kiya usko dafan

baat ye tu hi bata kaise bhulaye zainab

aaja abbas tujhe...


kya hai aasaan ye khursheed bhala nauhagari

jaante hai ye sukhanwar ke ye manzil hai kadi

baat banti hai jo hojaye ata e zainab

aaja abbas tujhe...