aajaiye abbas aajaiye abbas
ab aaiye nusrat ko meri bhai wafadaar
baad aapke ab hamko sataate hai'n sitamgaar
aajaiye abbas aajaiye abbas
baad aapke ab ham pe jafao'n pe jafa hai
sharminda har ek bibi hai sar par na rida hai
sar nange hoo'n aur saamne hai shaam ka bazaar
jiska kabhi suraj ne bhi chehra nahi dekha
aghiyaar ke majme me hai be parda wo behna
roti hu'n mai sar kham kiye haste hain ye kuffaar
ab ranj o alam se mera dil doob raha hai
aye bhai yaha'n zulm o sitam had se siwa hai
ajao mere sher mere monis o ghamkhwar
purdard marhale se mera phat-ta hai seena
ab yaad karke aapko roti hai sakina
kanto'n ki chubhan badhti hai aur neele hai'n rukhsar
zanjeer se sajjad ka jakda huwa tan hai aur shano'n me jakdi huwi mere bhi rasan hai
chalna bhi hai dushwar bohat raah hai purkhaar
kal naaz tha jispar wo alamdar kaha'n hai
parde ka muhafiz jo tha ghamkhar kaha'n hai
kaste hai'n tanz ham pe ye keh keh ke jafakaar
sab khoulta pani liye dikhte hain chhato'n par
har ek sitamgar liye haatho'n me hai paththar
aajao khudara mere bhai mere jarrar
sajjad ko durre wo lagate hai'n sitamgar
girta hai mere bhai wo ghash khaake zamee'n par
jalti hai pusht dhoop me aur zakhm hai khoo'nbaar
tumhi ho mere qalb ki dharas aye baradar
mushkil me giraftaar hu'n koi nahi yawar
deti hai sada aapko ek bekas o lachaar
ab ek qadam chalna bhi dushwar hai bhai
deti hai haye roke sakina bhi duhayi
ab tod do aakar zara har zulm ki deewar
aye bhai mere sher musibat ki ghadi hai
darbaar me sar nange har ek bibi khadi hai
sheesho'n se sajaya hai sitamgar ne ye darbaar
saqqa-e-haram kis tarha nouha ye sunaye aur faiz likhe kistarha jo ranj uthaye
shabbir ki hamsheer ye kehti rahi har baar