aa ke maqtal mein safe matam bichao fatema
dushmano mein ghir gaya hai aap ka pyara hussain
jaan balab hai karbala mein bekas o tanha hussain
tashna lab bete ko seene se laga lo fatema
aa ke maqtal mein...
ab na qasim hai na akbar hai na abbas e jari
khanjar e zulm o sitam hai gardane sibte nabi
asr ka hangaam hai baali pa aao fatema
aa ke maqtal mein...
garm reti par tadapta hai nabi ka laadla
goonjti hai karbala mein wa hussaina ki sada
berida maqtal mei zainab hai sambhalo fatema
aa ke maqtal mein...
kya musibat ki ghaihai kya qayamat ka samaan
aaye hai karbobala mein sarwar e koun o makan
gham ki ye rudaad baba o sunao fatema
aa ke maqtal mein...
allah allah ibne hyder bekhata maara gaya
reh gayi zainab tadap kar aur gala kaata gaya
bhai ka pursa behen ko dene aao fatema
aa ke maqtal mein...
ro rahi peet ke sar gham ki maari bibiyan
baap ke gham mein sakina le rahi hai hichkiyan
aa ke seene se sakina ko laga lo fatema
aa ke maqtal mein...
arsh waale ro rahe hai ro raha hai aasman
ranj o gham se kaampta hai ek mareez e natawan
abid e muztar ko pursa dene aao fatema
aa ke maqtal mein...
ay kaleem ahle sitam ab ghar jalane aaye hai
ahlebait e mustafa par zulm dhaane aaye hai
bibiyon ko is musibat se bachao fatema
aa ke maqtal mein...