zehra ke dil ke chain shahe mashraqain se
aao ye waada hum kare mil kar hussain se
karbala bhool na payenge hai jab tak zinda
ay hussain aap se ye waada raha
hashr tak yaad rahega wo ghamon ka khissa
ay hussain aap se ye waada raha
hussain ya hussain
rab ne chaaha to mere maula nahi chutega
aap ke gham mera rishta nahi tootega
ye sabeelein ye azakhane sajane ki lagan
nahi chootega kabhi ye azadari ka chalan
ta abad bichta rahega mera ghar farshe aza
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
aap ke gham se agar qalb munawar honge
ashk aankhon se girenge to wo gauhar honge
ye alam taaziye taboot uthaunga sada
aap ke gham ko mai seene mein basaunga sada
baad mere meri naslon ka ye hoga shewa
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
aap ghar se wafadari nahi chodenge
mere maula ye azadari nahi chodenge
ho balayein ya wabayein ya koi ho mushkil
bas yehi kehta hai har ek azadaar ka dil
hum bichayenge har ek haal mein ye farshe aza
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
deen pe mar mitne ko tayyar hai mashallah
kaisa shedayi wafadaar hai mashallah
dosti kehte kise hai ye bata jaunga
aap ke naam pe ye jaan bhi luta jaunga
aayi kufe se habeeb ibne mazahir ki sada
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
nasl dar nasl mere kunbe mein aisa hoga
har koi hazrat e shabbir ka shehda hoga
hai fida tum pe meri jaan hussain ibne ali
mere maa baap bhi qurban hussain ibne ali
bas yehi bolega ghar ka mere baccha baccha
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
sadqe shabbir ke hai mera naseeba chamka
maine jo daaman e shabbir ka saaya paaya
ab kabhi daaman e shabbir na hum chodenge
godh mein azmat e islam ki dam todenge
hurr yehi kehta hua jaanibe maqtal hai chala
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
bhool jaun mai wo aada ke sitam na mumkin
yaad mujhko na rahe bhai ka gham na mumkin
ye zameen aur falak shajr o hajar mehshar tak
gham manayenge tera jinn o bashar mehshar tak
laashe shabbir pe ro ro ke ye zainab ne kaha
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
bandagi cheez hai kya aur ibadat kya hai
aap ka aakhri sajda ye sabakh deta hai
aap ke aakhri sajde ka bharam rakhenge
hum azadar namazein na kabhi chodenge
hone denge na kabhi koi namaz apni qaza
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...
hussain ya hussain
aap ka zikr nahi chodenge ye waada hai
zakiron ka mere sarkar yehi waada hai
thak nahi sakti zaban ruk nahi sakta hai qalam
dam mein aamir ke shanawar ke hai jis dam tak dam
aap ke naam ka karte hi rahenge charcha
ay hussain aap se ye waada raha
karbala bhool na payenge...