Kanz e Aza

Syedna Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shanawar Makanpuri (2022). Lyrics in Roman Urdu.

tu hi zariya tu hi heela

meri bakshish ka waseela

har ghadi mera wazeefa

mere har gham ka madawa

syedna hussain hussain

murshadna hussain


tu deen ka sutoon hai tu deen ka waqaar

mohsin hai tu hi deen ka tu deen ka qaraar

kis se misaal doo teri kis mein karun shumaar

riffat ko teri dekh ke kehti hai karbala

syedna hussain hussain...


baatil har ek daur mein paata raha zawaal

auje hussainiyat mein na dekha gaya zawaal

tere udoo ka hissa khata o saza zawaal

har daur teri jeet hai har daur karbala

syedna hussain hussain...


hojata sab halaak tabahi ke zad mein tha

deen e rasool e pak tabahi ke zad mein tha

insan dard naak tabahi ke zad mein tha

jaan de ke tune bakshi hai har ek ko jila

syedna hussain hussain...


baatil buton se haq ki taraf rukh ko mod kar

hurr aaya jab hai shaam ke lashkar ko chod kar

kehne laga hussain se ye haath jod kar

rab ki qasam hai raahe jina saath aap ka

syedna hussain hussain...


marqad ki wehshaton ka mujhe koi gham nahi

apni musibaton ka mujhe koi gham nahi

aur gham ke marhalon ka mujhe koi gham nahi

deta har ek gham ko tera gham hai hausla

syedna hussain hussain...


ye justaju ye haq ki talabgari kam na ho

maula tumhare ghar se wafadari kam na ho

mushkil ho koi bhi ye azadari kam na ho

karte hai bas khuda se azadar ye dua

syedna hussain hussain...


mauj e sitam uthi bhi to saahil na choo saki

kaali ghatayein zulm ki har simt cha gayi

lekin teri shuwaon ki hadh tak na aa saki

suraj teri hayaat ka rashan raha sada

syedna hussain hussain...


bete ka laasha dosh pe tha rab ka shukriya

karke supurd khaak kiya rab ka shukriya

har gaam pe tu karta raha rab ka shukriya

tujhko salaam sabr o tahammul ne khud kiya

syedna hussain hussain...


itni kahan thi fikre shanwar ki riffatein

aamir jo zam hussain ki karta ye azmatein

unki nawazishein hai ye unki inayatein

socha tha bas hussain ko aur misra hogaya

syedna hussain hussain...