Kanz e Aza

Taaraj Hua Zehra Ka Ghar

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Sar Peeto Karo Barpa Mehshar Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.

hai Qaak Muhammed Saww. Ke Sar Par **2

taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.

1. Haan Ajre Risalat Hai Matam Sarkar Ki Sunnat Hai Matam.

roye Hai Payambar Yeh Kehkar Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


2. Wo Aun O Mohammed (as) Ke Lashe Jab Qaima E Zainab (sa) Mein Pohonche.

tha Dard Bhara Sara Manzar Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


3. Doolha Ke Badan Ke Tukde Hue Kuch Lamho Ki Dulhan Kaise Jiye.

tha Nauha Kuna Shadi Ka Ghar Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


4. Zainab (sa) Ka Sahara Choot Gaya Shabbir (as) Ka Baazoo Toot Gaya.

jab Zee'n Se Gira Ibne Hyder (as) Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


5. Laila Ka Jigar Shabbir Ki Jaa'n Tha Jiski Shadi Ka Armaa'n.

ek Naiza Laga Uske Dil Par Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


6.chalti Thi Sitam Ki Aisi Ghata Bano Ka Kaleja Chaak Hua.

jab Cheda Gaya Hulqoom E Asghar (as) Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


7. Seh Roz Ke Bhooke Pyase Ka Jab Kaata Gaya Qanjar Se Gala.

haste The Simtamgar Yeh Kehkar Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.


8. Jab Shaam Ghareebo'n Par Chaayi Qaimo'n Ko Jalane Fouj Aayi.

juz Abid (as) Koi Na Tha (yawar) Taaraj Hua Zehra (sa) Ka Ghar.

az: Shayer E Ahlebait Janab Yawar Ali Sahab.