Wa ghareeban wa shahedan Wa Husain ibne Ali(as)
1. Dasht me ghar tera luta Haay husaina Tujhko kafan bhi na mila Haay husaina Rounda gaya lasha tera haay husaina
2. Ghodoun say pamaal huwa Dilbaray shabbar Rehgaye sehray kay sobhi Phool bikhar kar Tukhdoun ko Qasim uthatay rahay sarwar
3. Hogayi beyaro madadgaar Sakina Sehti rahi durron ki bochard Sakina Roti rahi lashay pay lachaar Sakina
4. Maragaya bhai tera Shanay katakar Khake sina seenay pay Soya Ali Akber Qatl huwa teeray sitamgaar say Asghar
5. Lashay uthatay huwe din Tune guzara Chin gaya maqtal mein har ek Tera Sahara Dekhkay ghurbat teri khaleq ne pukara
6. Yaade Hussain ibne Ali likh gayi Zainab Dasht me jab Shaam Dhali lut gayi Zainab Qaid hui Shaam chali lut gayi Zainab