Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
1. Zehra(s.a) ka dulaara pyaasa gaya maara
mohtaaje kafan hai Ahmad(saws) ka nawaasa
Thaame jigar kehti thi maa'n Hussain(a.s)
Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
2. Wo tashna dahaani darya ki rawaani
Darya ke labo'n par hai teri kahaani
Pyaso'n ka gham apna armaa'n Hussain(a.s)
Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
3. Matam jo na hoga hum kaise jiyenge
gar mout bhi aaye Matam ye karenge
Seeno'n me hai jab tak ye jaa'n Hussain(a.s)
Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
4. Shiyou'n ko mili hai Zehra(s.a) ki duayei'n
Matam me jawaano sab haath uthaaye
Dil se bolei'n saare jawaa'n Hussain(a.s)
Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
5. Jab shimr ka khanjar chalta tha gale par
Deti thi duhaayi you'n Zainab e Muztar
Kaise dekhu'n Aye Bhaijaa'n Hussain(a.s)
Wa Hussaina Hussaina Hussain(a.s)
Kalaam : Ustad e Mohtram Janab Dawar Ali Dawar Sahab