Ye beemar kehta tha kufe me badhkar, hum aal e nabi hai humein na sataao
Tamaasha hamara na yu tum banao, hum aal e nabi hai humein na sataao
1. Na gham taaziyaano ka na bediyon ka, hai gham maaon behno ki bepardagi ka
Khule sar inhein na yahan par phirao, hum aal e nabi hai humein na sataao
2.Hai behna meri jiska naam hai sakina, hai pyaasi wo itni ke jalta hai seena
Na tum usko paani dikhaake bahaao, hum aal e nabi hai humein na sataao
3. Jo naaqe se bachi giri thi zameen par, to sar mere ghazi ka rota tha kehkar
Abhi karwan tum na aage badhaao, hum aal e nabi hai humein na sataao
4. Phupi meri parde me rehti thi aise, ke jisko khule sar na sooraj bhi dekhe
Use aise majme me tum na phiraao, hum aal e nabi hai humein na sataao
5. Yu naize se sar jo chacha ka hai girta, sabab iska hai meri phupiyo ka parda
Khula sar phupi ka na unko dikhaao, hum aal e nabi hai humein na sataao
6. Tha abid pe sabse kadha waqt us jaa, ke darbar me jab gayi’n bint e zehra
Ye kehta tha hakim, ta-arruf karao, hum aal e nabi hai humein na sataao
7. Karo asghari milke syed ka matam, awaalim me barpa hai syed ka maatam
Ye rudaad
Mirza
sabhi ko sunaao, hum aal e nabi hai humein na sataao
Kalaam : Mirza Hassan Ali Baig