Kanz e Aza

Zindagi Kat Gayi

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Nawab Cholasvi. Lyrics in Roman Urdu.

kufa o shaam ka nikla nahi dil se manzar

zindagi kat gayi sajjad ki rote rote


nange sar aati thi maa behno ki tasveer nazar

zindagi kat gayi sajjad ki rote rote


dard e dil aur badha haye kabhi kam na hua

ashk behte rahe aankhon se juda gham na hua

manzar e shaam pe rote rahe shaam aur sahar

kufa o shaam ka...


mubtela gham mein rahe has ke koi baat na ki

nauha padhte rahe khushyion se mulaqat na ki

dil se afsos nikal paaya na gham ka manzar

kufa o shaam ka...


bojh ehsaas ka seene se utaara na gaya

chain se ek bhi din haye guzara na gaya

marte dam tak bhi chala dard ka khanjar dil par

kufa o shaam ka...


beridayi ka nikal paaya na seene se malaal

yaad aate rahe maa behno ke bikhre huwe baal

dil se abid ke juda ho na saka gham ka asar

kufa o shaam ka...


ye sakina hai wo zainab hai wo umme laila

haakim e shaam ne har ek se has kar jo kaha

goonjti rahti thi kaano mein ye ghamgeen khabar

kufa o shaam ka...


koi dekhe na jo bemaar ne manzar dekha

haye pyason pe baraste huwe pathar dekha

kaampta rehta tha ye soch ke abid ka jigar

kufa o shaam ka...


roke farmate thay mai hashr ke hangaam mein tha

maut kaise na mujhe aayi ke jab shaam mein tha

phir bhi shikwa na kiya nana ki ummat se magar

kufa o shaam ka...


jab talak zinda rahe abid e bemaar nawab

bhool paaye na kabhi shaam ka bazaar nawab

roz o shab karte rahe girya o zaari mein basar

kufa o shaam ka...