AB AHL-E-BAIT KE LIYE ZINDAN-E-SHAM HAI
Afsos berida hain nabi ki nawasiya Aur bekafan nawasa-e-khair-ul-anaam hai
Rote hain phoot phoot ke pairo ke aable
Abid ki natawani hai aur raahe sham hai
Namehramo ka raah mein hai har taraf hujoom
Beparda haye khwahar-e-shah-e-anaam hai
Boli Sakina jabse mere baba uthgaye
Kaisi ye subha hai phupi kaisi ye sham hai
Jinno malak bhi aaye hain rone ko aye Sahaab
Ye Majlis-e-Hussain alihis-salam hai