haye bemaar haye bemaar
ranj o alam mein doobi abid ki kahani
pairon mein aabile hai aankhon se aansuon ki
hoti hai rawani
ranj o alam mein doobi abid ki kahani
is baat ka nahi gham bazaar behaya hai
ummat ki berukhi hai ummat se hi gila hai
zainab bhi berida hai badli hai zaeefi mein
abid ki jawani
ranj o alam mein doobi...
qaari namazi hafiz haaji khade huwe thay
bazaron mein musalman saare bhare huwe thay
zainab ki pusht par hi bemaar e sareban ki
guzri hai jawani
ranj o alam mein doobi...
sadaat ke liye hi raahon mein mushkilein hai
koday hai aur kaanthe pathron ki barishein hai
qaime jo karbala mein jalte rahe thay ya rab
barsa nahi pani
ranj o alam mein doobi...
jab karbala ko aaye choota watan madina
choda jo karbala ko tanha hui sakina
sarwar ki shaahzadi kaise sahegi ya rab
zindan ki veerani
ranj o alam mein doobi...
sajjad ko imamat deti hai shaam e ghurbat
mazloom sayyedon se kehti hai shaam e ghurbat
purse mein de rahi hoo bemaar ko aseeri
karbal ko kahani
ranj o alam mein doobi...
na mehramon mein zainab beparda jab khadi thi
ummat ki teri nana ghairat kahan gayi thi
majma laga hua tha zainab jo pad rahi thi
aayaat e qurani
ranj o alam mein doobi...
saaya hata hi tha ke abbas ke bharam ka
aaghaz hogaya tha sadaat pe sitam ka
deti rahi dilaasa pardes mein zainab ko
ghazi ki nishani
ranj o alam mein doobi...
sajjad jis tarha se aankhon se khoon roya
armaan wo kalam se kaise bayaan hoga
bedaar hogaye hum matam bata raha hai
nauhon ki zubani
ranj o alam mein doobi...