Kanz e Aza

Abid ki Zanjeer

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

ye kaisi rehaai hai


abid ki zanjeer utaari jaati hai

roohe sakina sadqe waari jaati hai


bhai ki turbat par girti hai naaqe se

qabr pe jab zainab ki sawari jaati hai

abid ki zanjeer...


zindan ki takleef sakina se poocho

kaise yahan par raat guzari jaati hai

abid ki zanjeer...


dhoondne turbat maqtal mein shash maahe ki

ghutniyon chal kar maa bechari jaati hai

abid ki zanjeer...


abid ke pairon ka waram jaata hi nahi

saath lehed tak ye beemari jaati hai

abid ki zanjeer...


asghar ki mayyat ek aisi mayyat hai

qabr mein jo do baar utaari jaati hai

abid ki zanjeer...


roti hai darbar mein ghazi ki ghairat

zainab le kar naam pukari jaati hai

abid ki zanjeer...


tadpati hai aun o mohamed ki yaadein

jab hujron mein maa dukhyari jaati hai

abid ki zanjeer...


pusht pe abid ki durron se shaam talak

zulm ki ek tasveer ubhari jaati hai

abid ki zanjeer...


aamir o akhtar ashk na roko nauhe mein

jannat tak awaaz tumhari jaati hai

abid ki zanjeer...