alwida kaise kahe
baap ka taboot hai hasnain hai tanhaai hai
dene bacchon ko dilaasa khuld se maa aayi hai
arsh waale bhi nazar aate hai kuch mayyat ke saath
sogh mein doobi hui hai murtaza ke kayenat
kis qadr jaane ali ke zakhm mein gehrayi hai
baap ka taboot hai...
sabr aaye zainab o kulsoom ko parwardigar
sehne masjid se sadayein aa rahi hai baar baar
ek rozedar ne sajde mein zarbat khaayi hai
baap ka taboot hai...
tak raha hai kisko hasrat se na jaane noor e ain
kaun hai jo keh raha hai sabr kar mere hussain
kis ki ye awaaz hai kaano se jo takrayi hai
baap ka taboot hai...
kaamp jaata hai kaleja dard ke ehsas se
mil ke jab shabbir rote hai gale abbas ke
dekho ek bhai ke gham ka aaena ek bhai hai
baap ka taboot hai...
khoon rota hai falak kufe ke manzar hai udaas
zainab o kulsoom aur shabbir o shabbar hai udaas
chehra e ummul baneen par murdani se chaayi hai
baap ka taboot hai...
maa ka gham bhoole na thay baba ka saaya uth gaya
haye ghar hasnain ka dekho dobara lut gaya
waqt ne phir se ghamon ki daastan dohrayi hai
baap ka taboot hai...
kaun si manzil mein likha jaye ab is sabr ko
apne haathon se mitaate hai nishane qabr ko
haye kis aalam mein mayyat baap ki dafnayi hai
baap ka taboot hai...
aamir o akhtar siyahi hai falak par har taraf
dono aalam par musallat hai ghame shaahe najaf
arsh ko kudrat ne poshak e aza pehnayi hai
baap ka taboot hai...