Kanz e Aza

Baba ka Sar Sakina

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

baba ka sar sakina aghosh mein utha ke

faryad kar rahi hai roodad e gham suna ke


shimre layeen ne mujhpar kya kya sitam na dhaye

lekin meri madad ko afsos tum na aaye

pani ko phaynkta tha zaalim dikha dikha ke

baba ka sar sakina..


bin parda zaalimo ne bazaar se guzara

maine tadap tadap ke tum ko bahot pukara

guzri hoo raaston se balon se moo ko chupa ke

baba ka sar sakina..


shimre layeen tamache jab mere maarta tha

nanha sa dil tadap ke tum ko pukarta tha

rote thay har qadam par sajjad sar ko jhuka ke

baba ka sar sakina..


rehwaar ke galay mein ammu ka sar pada tha

meri aziyaton ka sadma unhe bada tha

aankhein lahoo lahoo thi khoone jigar baha ke

baba ka sar sakina..


saaye ko bhi safar mein qaidi tadap rahe thay

raahon mein har taraf se pathar baras rahe thay

laayi hai mujhko jaane kaise phupi bacha ke

baba ka sar sakina..


koi na tha hamari faryad sun'ne waala

be pardagi ne baba meri maa ko maar daala

khush ho rahe thay zaalim dar dar hame phirake

baba ka sar sakina..


karti rahi duayein zindan se sakina

jab tak khuloos e dil se padte rahe ye nauha

irfa aur akhtar aansu baha baha ke

baba ka sar sakina..