bali sakina ne ro kar kaha
baba ko na leke jaa zuljana
zakhmon se hai choor baba mera
baba ko na leke jaa zuljana
mai jaanti hoon wafadar tu hai
baba ke ghode samajhdar tu hai
daaghe yateemi se mujhko bacha
baba ko na leke...
mai gham yateemi ka seh na sakungi
bin baba jaan ke mai reh na sakungi
ehsaan kar mujhpe ay bawafa
baba ko na leke...
neend aati hai mujhko sadr e padar par
mai khaak pe haye soungi kyun kar
hai meri tujhse yehi ilteja
baba ko na leke...
kaise bataun jo sadma hai dil par
maare gaye bhai qasim o akbar
darya se aaye na mere chacha
baba ko na leke...
kuch dayr pehle jo gaya tha asghar
aaya tha wo apne khoon mein naha kar
shesh maaha bhaiya bhi maara gaya
baba ko na leke...
maujood hote agar mere ammu
behte na yun mere aankhon se aansu
deti na mai tujhko ro kar sada
baba ko na leke...
waiz sakina ki aah o buka par
rehwaar rota tha sar ko jhuka kar
nauha tha wo gham mein dooba hua
baba ko na leke...