Kanz e Aza

Baba Mujhe Neend

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

jab bali sakina ko mili laash padar ki

baba ke khareeb aake ye kehne lagi bacchi

rukhsar bhi zakhmi mera daaman bhi jala hai

jaagi hoon kayi roz ki ek ye bhi jafa hai

tum ne bhi na poocha to bahot roungi baba

tum khud hi bata do ke kahan soungi baba

baba mujhe ab neend aa rahi hai


seene se teeron ko tum hatalo

baba mujhe ab neend aa rahi hai


sau zakhm seh kar bhi royi nahi hoon

mai aath pehron se soyi nahi hoon

sone nahi deti furqat tumhari

laayi yahan tak mohabbat tumhari

ek baar uth kar galay se laga lo

baba mujhe ab...


jab se gaye aap gham bhi siwa hai

bewarison par sitam bhi siwa hai

karte hai nauha dil o jaan mere

rukhsar zakhmi hai aur kaan mere

haathon ko apne jhoola bana lo

baba mujhe ab...


pehnayi jo eid par tum ne mujhko

wo baliyan chin gayi baba dekho

kaano se mere lahoo beh raha hai

rukhsar neele hai daaman jala hai

hoon choor zakhmon se tum sambhalo

baba mujhe ab...


awaaz sunti hui ya bunayya

pahunchi hoon laashe talak mehwe girya

rukhsar seene pe rakhun mai kaise

ay baba seene pe hai teer itne

kuch dayr pehlu mein hi sula lo

baba mujhe ab...


dekhi nahi jaati haalat tumhari

mujhko rulaati hai ghurbat tumhari

ye soch kar paas aayi tumhare

phir shimr mujhko tamache na maare

zaalim ki nazron se mujhko chupalo

baba mujhe ab...


baba masayeb se chalni jigar hai

ek shab ki mehman hoon kal safar hai

bas aakhri raat sone do baba

phir so sakegi na bali sakina

mujhko bhi dedo sukoon tum bhi paa lo

baba mujhe ab...


amma se aksar suna hai ye maine

jannat se aaye thay kapde tumhare

khudrat tumhari hai pyase musafir

mai hoon pareshan ab meri khaatir

jannat se koi bichona manga lo

baba mujhe ab...


mazhar sakina ki is bekasi par

qurban ho jaaye mai aur safdar

rote thay ye sun ke shaahe madina

karti thi faryaad bali sakina

seene se teeron ko tum hata lo

baba mujhe ab...