rawan dawan tha jaanib e damishk khaafila
kalaam e haq suna raha tha sar hussain ka
behan ki jab nazar padi to dil se ye sada uthi
khateeb e mimbar e sina bas mera hussain hai
maujiza ye dekhte hai ashqiyan
sar sina pe jaa ke bolne laga
arsh se khuda ki aayi ye sada
marhaba mere hussain marhaba
tu ne haq ada kiya jo apna ghar luta diya
mujh pe karz ho gaya to maine faisla diya
ke hashr tak meri zaban bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...
ambiya bhi dekhte hi reh gaye
karbala ke ban mein tere hausle
har taraf se teer aur tabar chale
par paon dasht mein jamein rahe
ek do pahar mein ghar luta ke garm rayt par
misl e sher e kibriya jo todi zulm ki kamar
har ek nabi ka hai bayan bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...
juloos hai qadam qadam rawan dawan
bhai behnw tifl peer aur jawan
alam sabeel zuljanah taaziye
hai gham e hussain ki nishaniya
alam bana ke sayban chala hussaini karwan
bole hoke yak zaban ye matami ye naujawan
yahan bhi meer e karwan bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...
aaj bhi zamaana sara dang hai
kyun khuda hussainiyo ke sang hai
qatl e aam ho rahe hai jaa baja
phir bhi majlison ka wo hi rang hai
aayi ghaib se sada bataun tumko aur kya
tum na rok paoge ye majlison ka silsila
hussainiyo ka sayban bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...
pur sada'on ka sukhan
ay shehenshah e zaman
ek jaisi hai fiza ek jaisa hai chalan
de rahe hai jo sada ye tere khooni badan
karbala meri zameen karbala mera watan
is watan ka shaah jahan bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...
deen jab sitam ki zad pe aa gaya
karbala mein keh raha tha la ilaah
kaun hai jahan mein aisa soorma
jo mujhe yazeed se bachayega
sunke deen ki sada hussain ibne sayyeda
deen ko bachayega lahoo mein jo nahayega
tadap ke boli ek maa bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...
karbala hai khuld ye to hai yaqeen
kyun na ho ke hai hussain ki zameen
safdar aur mazhar abdi kaho
baad e marg hum to jayenge wahin
jaza ki kayenat mein utha ke jaam haath mein
hussain pehle aayenge ali bhi honge saath mein
ke us jahan ka mezban bas mera hussain hai
hussain hussain bas mera hussain hai
khateeb e mimbar e sina...