Kanz e Aza

Darbar se Jab

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

darbar se jab aayi ghar beti nabi ki roti rahi

ek din nahi phir umr bhai beti nabi ki roti rahi


jeene diya kab chain se ummat ne dhaaye itne sitam

jhutlaya us tehreer ko jo de gaye thay shaahe umam

haste rahe sab ahle shar beti nabi ki roti rahi

darbar se jab aayi ghar...


phir aag le kar ahle shar zehra ke darwaze par gaye

dar bhi jala ghar bhi jala sab gham sahe thay rote huwe

jis dam gira pehlu pe dar beti nabi ki roti rahi

darbar se jab aayi ghar...


baazu bhi ek zakhmi hua pehlu se haye tha khoon rawan

ro kar sada baba ko di tooti jo zehra ki phasliyan

is dard mein shaam o sahar beti nabi ki roti rahi

darbar se jab aayi ghar...


ye kehke bas roti rahi mohsin bhi mera maara gaya

bhoolungi mai kaise usay ye gham mujhe bas kha jayega

is baat par sar peet kar beti nabi ki roti rahi

darbar se jab aayi ghar...


ghusl o kafan dete huwe sher e khuda bhi rone lage

pehlu ko jab dekha kiye sher e khuda bhi rone lage

ab ye khula kyun umr bhar beti nabi ki roti rahi

darbar se jab aayi ghar...


safdar nahi taabe bayan mazhar karega ab kya raqam

lafzon mein kya kar payge koi bayan ye bibi ke gham

hai marsiya bas ek satar beti nabi ki roti rahi

darbar se jab aayi ghar...