Kanz e Aza

Deewanae Hyder

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ali ali ali ali ali ali ya ali

asadullah yadullah saifullah wajhullah

ainullah noorullah jumbullah baabullah


deewana e hyder hoo mai mastaan e hyder hoo

parwana e hyder hoo


ishqe hyder hai sukoon ishqe hyder hai junoon

kaam kuch aur nahi bas yehi kehta phirun

ye ibadat hai meri ye hai tasbeeh meri

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


meri fitrat mein yehi hai ke mai haq bolta hoo

apne maula ke fazayil mein gohar tol ta hoo

jaa ke mimbar pe mai israar e khafi kholta hoo

farsh se arsh talak jaante hai ye malak

toor pe noor tha wo mere maula ki jhalak

hoor o haiwan ne kaha dekh kar noore jali

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


tum ko haq hai ke mujhe saahib e kirdar kaho

mujhko hyder ke ghulamon ka bhi hubdaar kaho

khuld jis par hui waajib wohi maykhaar kaho

ay zamane ye bata mai kahan jaaun bhala

chahiye mujhko faqad ishqe hyder ka nasha

aisa maikhana dikha jiska saaqi ho ali

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


mai to darwaishon ki basti ko hi pehchanta hoo

jo malangane ali hai mai unhe jaanta hoo

maanta hai jo ali ko mai unhe maanta hoo

hai mera naam o nasab mere maula ke sabab

jo hai waliyon ka wali shaahe deen shaahe arab

misle kaaba hai ye dil aur dhadkan mein meri

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


jab talak jaan mein hai jaan gawahi doonga

mera maula mera emaan gawahi doonga

hai wohi bolta quran gawahi doonga

meri bakshish ka hai saaman gawahi doonga

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


zindagi iski mohabbat mein guzar jaaye to kya

ishq ban kar wo mere dil mein utar jaaye to kya

rooh phir jism se parwaaz bhi kar jaaye to kya

muqtasar baat karun pesh jazbaat karun

qabr mein aaye ali mai mulaqaat karun

phir ali se hi kahun tha mera wird yehi

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


saahib e loh o qalam unke siwa koi nahi

haamil e taygh o alam unke siwa koi nahi

maalik e mulk e adam unke siwa koi nahi

jis taraf jaaye nazar bas wohi aaye nazar

unka deedar ho jab phir sukoon paaye nazar

ishq dikhlaye mujhe sirf aur sirf wohi

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...


har ghadi safdar o mazhar ka hai damsaaz ali

deta rehta hai takhayyul ko bhi parwaaz ali

yani lafzon ko ataa karta hai awaaz ali

hai sakhawat ka hasham yani awaaz o qalam

is waseele se kare apni har baat ko hum

yak zaban ho ke kahe dono maulayi yehi

ali ali ali ali...

deewana e hyder hoo...