Kanz e Aza

Dukhtare Shabbir Hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

haye sakina haye haye sakina


dukhtare shabbir hai aur qaid khana shaam ka

dard ki tasveer hai aur qaid khana shaam ka


kehte thay sajjad ro kar kaise behlaun mai khwahar

ye tera majboor bhai kya sunaye tujhko aa kar

paon mein zanjeer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


khaak hi bistar hai tera khaak hi takiya hai tera

raaigan ay meri khwahar har ghadi rona hai tera

ab yehi taqdeer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


mai kahan se laaun beta zakhm ka marham bata de

tujhko khaane hai yahan par ghurkiyan aur taaziyane

ek tu dilgeer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


ashke gham peeti raho ab gham pe gham sehti raho

jis tarha bhi ho mayassar qaid mein jeeti raho

ab yehi tauqeer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


baap ki furqat mein jeena hai bada mushkil magar

jo muqaddar mein likha hai sabr kar le sabr kar

dard ki tehreer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


dekh tere gham mein roti hai phupi zainab teri

khatm ho jaaye na rote rote unki zindagi

waarise tatheer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


ek sukoon ka saans lena bhi yahan mumkin nahi

jeete jee teri rehaai meri jaan mumkin nahi

waqt ki zanjeer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...


qaid mein sajjad kehte thay ye mazhar abidi

kis tarha taqdeer bigdi mustafa ke aal ki

qalb mein ye teer hai aur qaid khana shaam ka

dukhtare shabbir hai aur...