Baba Bada Aandhera Hai Baba Bada Aandhera Hai
Ek Diya Koi Jalade Shaam Ke Zindan Me
1.Khakh Ke Bistar Pe Mujh Ku Neend Kaise Aayegi
Khoon Aankhou Se Sakina Har Ghadi Barsayegi
Apki Furkhat Me Beti Kis Tarah Jeepayegi
Yeh Dil Duhai Deta Hai Baba Bada Aandhera Hai
2.Khoon Hai kaanou Se Zaari Aur Huthou Par Buka
Derahi Hu Shaam Ke Is Qaid Khane Me Sada
Har Gadhi Taza Musibat Har Gadhi Taza Jaafa
Bedard Saari Duniya Hai Baba Bada Aandhera Hai
3.Ab Howa Ehsas Mujh Ku Hai Yateemi Kya Bhala
Mere Rone Par Hai Pheray Aur Matam Par Saza
Shaam Ke Zindan Me Hu Zindagi Be aasra
Har Dum Labou Pe Nouha Hai Baba Bada Aandhera Hai
4.Aisa Lagta Yahan Par Saans Lena Zurm Hai
Haaye Is Tanhai Se Bhi Baat Karna Zurm Hai
Hadh Howi Ke Roushni Ka Bhi Guzarna Zurm Hai
Dekho Sitam Yeh Kaisa Hai Baba Bada Aandhera Hai
5.Zalimou Se Puchti Hai Kya Khata Mujhse Howi
Bus Yehin Hai Zurm Mera Main Hu Beti Apki
In Darindou Se Bachalu Warna Main Marjaungi
Ek Khauf Mujhku Rehta Hai Baba Bada Aandhera Hai