Kanz e Aza

Gala Bandha Hai

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

gala bandha hai rasan mein malool o muztar hai

yehi hussain ki pyari sakina dukhtar hai


isi ko sibte nabi seene pe sulaate thay

isi ko godh mein abbas bhi khilate thay

jo rooth jaati thi sau sau tarha manate thay

hussain naaz aise bacchi ke uthaate thay

gala bandha hai...


nikal ke qaime se ran ko chale thay jab sarwar

yehi to lipti thi ghode ke paaon se aa kar

badha na asp to laaye hussain ye lab par

mera ye aakhri tum par hai raahwar safar

gala bandha hai...


ishara kar ke zameen ki taraf ye usne kaha

sakina pyari ki haalat to aap dekhe zara

zameen e garm pe lipti hai pakde paaon mera

qadam badaunga bhala kis tarha se mai aaqa

gala bandha hai...


isi ko shimr ne maare tamache gaalon par

isi ke kaano se cheene layeen ne gohar

isi ke bain se zaahir ye hogaya sab par

shaheed hogaye karbal mein sibte paighambar

gala bandha hai...


ye ek nanha sa sar jo rakha hai naize par

isi ka bhai hai cheh maah ka ali asghar

bala ke dasht mein naadan pani ko paa kar

pilaane ko isay daudi thi kooze ko le kar

gala bandha hai...