bali sakina yehi karti thi ro ro fughan
hai mere ammu kahan hai mere baba kahan
hone lagi dasht may sham e ghariban ayan
hai mere ammu…
jaane kidhar aaj sab nasir o yawar gaye
kaisi qayamat hui qasim o akbar gaye
justuju e aab may saani e hyder gaye
nanhe mujahid ke saath sipte payambar gaye
dhoond rahi hoo magar milta nahi kuch nishan
hai mere ammu…
lashkare kuffar may dhoom hai kyon is khadar
soch rahi hoo yahi aayi hai kaisi khabar
chaak gareban kiye rota hai sab ghar ka ghar
hosh kisi ko nahi kya karoon jaa'un kidhar
koi bataye mujhe kyon hai ye aagho fughan
hai mere ammu…
qaimo may be-izn hi aagaye sab ehle shar
zulm ki had tod-di abide bemaar par
lootli sar se rida loot ke sab maal o zar
shimr e layeen legaya cheen ke mere gohar
jaake dikhaungi mai kano se khoon hai rawan
hai mere ammu…
pyasi hoo ye lafz hi lab pe na laa'ungi mai
unki judaai ka gham kaise utha'ungi mai
maut se pehle unhe dekh bhi pa'ungi mai
jab bhi milenge mujhe unko bata'ungi mai
maare tamache mujhe shimr ne di ghurkiyan
hai mere ammu…
aur anees e hazeen haal kare kya raqam
zulm ki jab sayliyan kha chuke ehle haram
aale mohamad pe phir toota naya ek sitam
dekho ke bacho may hai bali sakina bhi to
karti thi jo dam ba dam roke yehi ek fughan
hai mere ammu…