Kanz e Aza

Haye Ali Haye Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

haye ali haye ali haye ali haye


zainab ne jis ghadi suni purdard ye sada

aayi tadap ke dar ke khareeb ye deti hui nida

khaana e khaaliq may hui kaisi jafa haye

haye ali haye ali…


hasnain ko pukara wo aaye to ye kaha

masjid may jaake dekho to ye majara hai kya

kaisi ye awaaz hai jo arsh ko hilaye

haye ali haye ali…


hasnain daude jaanib e masjid barehna pa

dekha to neem hogaya hai farte murtuza

baith ke pehlu may sukhan lab pe yehi laaye

haye ali haye ali…


halqe khai gileem pe zakhmi pidar hua

leke hue rawana suye bayte fatima

aaye dare zehra pe waqt ke sataye

haye ali haye ali…


ghar may nabi ke jab hue dakhil hassan hussain

ehle haram ne halqa kiya aur kiye ye bain

zainab-o-kulsoom ke lab par ye sukhan tha

haye ali haye ali…


waqt-e-madad hai ab dar khata iski kijiye

maula aneese gham ki khabar jald lijiye

daure masaib may wo ghut ghut ke na marjaye

haye ali haye ali…