jinko tu samjhi hai ay hind yahan wo to nahi
hum to awara watan qaidi hai aur khaak nasheen
wo to hai noore mohamed ki ziya arshe makeen
haal ye dekh ke bhi aata nahi tujhko yakeen
tune kya dekh ke kya soch ke ye baat kahi
kalmago qaid karenge bhala aulad e nabi
jinko tu samjhi hai…
boli wo kaun ho tum log mujhe ye to batao
apna afsana e gham mujhko mufassar to sunao
roko in aansuon ko apne khudara na bahao
sar ko ooncha karo ay bibiyon surat to dikhao
boli ek bibi bada ranj hai maajayi ko
tere shauhar ne kiya qatl mere bhai ko
jinko tu samjhi hai…
kitna pur dard tha ye zainab e muztar ka bayan
sunte hi hind ki ankhon se huwe ashk rawan
roke kehne lagi ba qaatire sultan e zaman
mai chudaungi tumhe qaid se ba izzat o shaan
naam leke na ab kijiyo yun shor o shain
mere aaqa mere maula ka bhi hai naam hussain
jinko tu samjhi hai…
shab ko ek khaab wo dekha hai ke allah ki panaah
yani hai teen shab o roz se pyasa mera shaah
boli phir apne kaneezo se basad ashk o aah
naam ab leti hoo saydaniyo ke haq e dawa
paas behad hai mujhe aale mohamed ka janab
jao le aao wazoo karne ko mere liye aab
jinko tu samjhi hai…
lab pe abbas kabhi akbar o asghar tha anees
qasim o aun o mohamed kabhi jafar tha anees
zikr e ansaar kabhi ya shahe safdar tha anees
teen din shaam azakhana e sarwar tha anees
majlise sibte payambar hui pehli barpa
zaakira jiski thi khud binte ali o zehra
jinko tu samjhi hai…