kaisa ye ghul macha hai elaahi furaat par
maara gaya hussain ka bhai furaat par
kaisa ye ghul macha…
aaya nazar na jabke alam ghash hue hussain
jab dekhne ko chashm uthaai furaat par
kaisa ye ghul macha…
kyon shor uth raha hai taraai se baar baar
akbar chalo kare to rasaii furaat par
kaisa ye ghul macha…
beta padar ko le chalo apne chacha ke paas
bhai ne kaafi dayr lagayi furaat par
kaisa ye ghul macha…
ghurbat may haye kya kare daulat baneen ki
battees saal baad gawahi furaat par
kaisa ye ghul macha…
darya ki samt dekh ke zainab ne ye kaha
bhai sakina to nahi aayi furaat par
kaisa ye ghul macha…
roze alam se uth'ta rahega dhuan anees
pani ne aisi aag lagayi furaat par
kaisa ye ghul macha…