Ghazi Madad ko aao Ghazi Madad ko aao
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
1. Aayi ek qayamat liye haye shaame Ghareebaa'n
Naizo'n ki aniyou'n pa jab chadar hui ayaa'n
Har bibi ke labo'n par thi us waqt yahi sada
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
2. Shimre maloon ka wo jab khayi hai tamaacha
Gohar Sakina(s.a) ke shaqi jab cheen ne laga
Besaaqta tadap kar ye karne lagi fughaa'n
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
3. Qaime jale hain haye sab asbaab lut gaya
Masoom Ali Asghar(a.s) ka jhoola bhi jal gaya
Bistar ko khainchte hi bas Sajjad(a.s) ne kaha
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
4. Oonto'n ki nangi pusht par baithi thi bibiyaa'n
Sab haath to bandhe the, na thi amariyaa'n
Maao'n ki goud se gire bacche to di sada
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
5. Aulaad e Ali(a.s) saamne hai nange sar khadi
Hai bughze Ali(a.s) tumko to badle ki hai ghadi
Aawaaze shaqi sun ke ye Zainab(s.a) ne ye kaha
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
6. Beshak imaam e Asr(a.s) ka hoga zahooor ab
saaraate Hussain(a.s) ho bedaar shaoor Ab
lena hai inteqaam ab khoone Hussain(a.s) ka
Jald aao ... Ghazi Madad ko aao
Kalaam : Janab Mujahid Ali Sahab