Haaye Hussain Pyaase Hussaina
Roke Fatima Zehra(s.a) Peet'ti hai sar apna
1. Ghar bula ke mehmaa'n ko di dagha layeno'n ne
khatm kardi zulmo'n ki inteha layeno'n ne
Baad e Qatl Sarwar(a.s) ka ghar ka ghar jala daala
Haaye Hussain Pyaase Hussaina
2. Itne kuch diye sadme Fatima(s.a) ke jaayi ko
Sab tadapte the bacche boond boond paani ko
Qaid karke itrat ki, cheenli saro'n se rida
Haaye Hussain Pyaase Hussaina
3. Jab se bawafa Abbas(a.s) sogaya labe darya
Ghir gaya layeno'n me jaane fatima Zehra(S.a)
Ek jaane sarwar(a.s) par, har taraf se tha hamla
Haaye Hussain Pyaase Hussaina
4. Hogaya juda sheh se ham shabihe paighambar
saamne nigaho'n ke jo pada tha reti par
Jo zaeef hatho'n par , khud uthaliya laasha
Haaye Hussain Pyaase Hussaina
5. Di sada jo halmin ki chal pade Ali Asghar(a.s)
Hurmala(l.a) ka teer aaya johi halqe Asghar(a.s) par
Chehre par mala lekar , Khoon halqe Asghar(a.s) ka
Haaye Hussain Pyaase Hussaina
Kalaam : Janab Raza Ali Sohai Sahab