ya hussain as salaam
as salaam ya hussain
kar diya islam ko hai surkh roo shabbir ne
is ki khaatir ki hai aisi justuju shabbir ne
aankh mein aansu thay har ek ki shabe ashoor ko
ki hai is andaaz se guftugu shabbir ne
kar diya islam ko hai...
leke aaye thay layeen jo karbala ke dasht mein
khaak mein wo sab mila di aarzoo shabbir ne
kar diya islam ko hai...
na kiya na kar sakega koi ghazi is tarha
khoon mein jaise kiya hai wazoo shabbir ne
kar diya islam ko hai...
kufr ke haathon ye deen ke chid gaye thay jo libaas
wo zibha sab kar diye hai wo rufoo shabbir ne
kar diya islam ko hai...
ay ameer is deen ki khaatir bala ke dasht mein
kar diye qurban bete khoon baroo shabbir ne
kar diya islam ko hai...