karbala ke ran mein jab gardan kati shabbir ki
jang is ke baad zainab ne lasi shabbir ki
apne pyaron ke janaze sab utha kar le gaye
reh gayi jo dasht mein wo laash thi shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
haye marte waqt akbar ne kiya pani talab
dil ko thaame kaamp uthi bekasi shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
jis tarha daane bikhar jaaye kisi tasbeeh ke
asr e ashoora ko yun aulaad thi shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
jalte qaimon se uthi zainab to keh kar ya ali
shaam mein paywast kar di roshni shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
zulm ki be-rehm shab mein dayr tak jaagi hui
shaam ke zindan mein bacchi so gayi shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
tum rehaai paa chuke waqte safar bhi hai magar
khaafile waalon kahan hai laadli shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
dhoop ke sehra se guzra tha mera pyasa qalam
phir bhi kab likhi gayi tashna labi shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
baad e majlis log saare jaa chuke ghar se magar
dayr tak us ghar mein maa roti rahi shabbir ki
karbala ke ran mein jab…
majlison mein baatiye fikre husaini ki ziya
is ko kehte hai musaddiq naukri shabbir ki
karbala ke ran mein jab…