jaa chuke sab karbala sughra akeli reh gayi
bekas o be-aasra sughra akeli reh gayi
chod kar bhai gaye ammu gaye baba gaye
haye lekin ghamzada sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
teer ki maanind chubhti hai ye tanhaai isay
saara ghar veeran hua sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
aalam e tanhaai hai koi nahi is ka yahan
ay madine ki faza sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
chod kar ghar baar ko jaana koi aasaan nahi
phir ghazab ye bhi hui sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
door tak raste mein maula ki nazar kehti rahi
haye meri mehlaqa sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
dekhte jaate thay akbar bas madine ki taraf
dil mein in ke gham ye tha sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
so rahe hai chain se gardan kata kar sab magar
ay zameen e karbala sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
tu hi is ko de sahara is ke aansu poch le
dekh qabre fatema sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…
ay musaddiq reh gayi tanha sakina shaam mein
aur watan mein ghamzada sughra akeli reh gayi
jaa chuke sab karbala…