baba meri sughra ko kahiyega salaam
qasid jab bhi leke aaye uska payaam
kahiyega ke maut ne majboor kar diya
bhai ko behen se bahot door kar diya
bhai tera maara gaya ran mein tashnakaam
baba meri sughra ko...
kahiyega ke ab na aayega tera akbar
mujhse mulaqat na tha uska muqaddar
ab na bulaye mera le le ke naam
baba meri sughra ko...
zulm ki yalghaar zabardast hogayi
barchi mere seene mein paywast hogayi
kuch hi pal mein gardan bhi hogi tahe husaam
baba meri sughra ko...
baba mujhe sughra ka deedar karado
behre tasalli mujhe bas shakl dikhado
dam mera aasani se nikle shahe anaam
baba meri sughra ko...
ungliyon ke darmiyan behen nazar aayi
dekhte hi naujawan ki aankh bhar aayi
kehte kehte hichkiyan lene laga gulfaam
baba meri sughra ko...
qasid se batladena gham ke saare haalaat
ummat ko hujjat na hui farzande nabi ki zaat
badr o ohud ka hum se liya kuch aisa inteqam
baba meri sughra ko...
shafqat o aamir bhai se behen juda na ho
maut aaye pardes mein waada wafa na ho
waqte aakhir khwahar ke honton pe rahega naam
baba meri sughra ko...