kabhi khaali hujron mein kabhi dehleez par jaa kar
sughra ne aansuon ke kitne diye jalaye
ay kaash mera kunba wapas watan ko aaye
sughra ne aansuon ke kitne diye jalaye
pardes jaane waale phir laut kar na aaye
baithi rahi wo dar par bas aas hi lagaye
sughra ne aansuon ke...
jab chaand dekhti hai wo eid ka falak par
kuch chaand apne ghar ke sughra ko yaad aaye
sughra ne aansuon ke...
badte hi jaa rahe hai ranj o alam ke saaye
veeran ghar mein mujhko tanhaai khaye jaaye
waada kiya tha mujhse aaunga lene behna
dam aa gaya labon par bhaiya magar na aaye
pardes jaa ke akbar bhoole hai apna waada
bhaiya ko yaad waada jaa kar koi dilaaye
sughra ne aansuon ke...
akbar se jaa ke kehna marti hai teri sughra
jab karbala ki jaanib yasrab se koi aaye
sughra ne aansuon ke...
ro ro ke eid guzri nauroz bhi guzara
bichde ho jiske apne wo eid kya manaye
sughra ne aansuon ke...
sughra ne khat mein likha bekaar hai ye jeena
na maut aayi mujhko baba na aap aaye
sughra ne aansuon ke...
shayad mubahila ki phir aa pade zaroorat
zahra ki betiyon ko shabbir saath laaye
sughra ne aansuon ke...
chehre pe ungliyon ke ab tak nishan hai baaqi
zindan mein sakina roti hai moo chupaye
sughra ne aansuon ke...
tum ahle ashqiya kya quran samajh sakoge
akhtar faqeer ki jo baatein samajh na paaye
sughra ne aansuon ke...