soghra ne likha baba jeene ka maza koi nai
haye kya main likhoo
shay bole ila jiska juz shukre khuda koi nai
bibi kya main likhoo
1. akber bhi nahi aaye khasid bhi nahi aaye
afsos azeezaon ne khat bhi to na bhijvaya
shay bole gharibon ki manzil ka pata koi nai
bibi kya main likhoo . . . . .
2. pardes mein qasim ki shadi toh rachi hogi
baba meri behno ne mehendi bhi rachi hogi
shay bole muqaddar mein ab rang -e- hina koi nai
bibi kya main likhoo. . . . .
3. abbas ke shaano ko duniya ki nazar laggayi
haye mashke sakina ko dariya ki nazar laggayi
ghaazi ke bina soghra jeene ka maza koi nai
bibi kya main likhoo . . . . .
4. jis din se kharidi hai maqtal ki zameen main ne
rota huwa paya hai amma ko yahi main ne
nana ke madine mein thi rahne ki jaa koi nai
bibi kya main likhoo . . . . .
5. laashe bhi tadap uthe halmin ki sadaon se
be shir chala aaya jhule ki fazaon se
asghar ke siva meri nusrat ko utha koi nai
bibi kya main likhoo . . .
6. soghra ko isa -atti main sar tan se juda hoga
bachpan ka jo vaada tha wo aaj wafa hoga
hain itna lahoo ran mein sajda ki bhi jaa koi nai
bibi kya main likhoo . . . . .
7. soghra mere sine mein hain daag bahattar key
be ghor hain sab laashe aulad payambar ke
kya tujh ko likhoo soghra ab waqt rah koi nai
bibi kya main likhoo . . . . .