Kanz e Aza

Sughra Tanha Ujray Ghar Main

A noha for Shehzadi Sugra (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Sughra tanha ujray ghar main aas lagaye baithi hai ..


Sani)

Dil main gaysuo’n walay ki tasveer banaye baithi hai..


Antra)

Janay walay kab lotai’n gay yado’n kay eewano main

Ashko’n kay wo chotay deep jalaye baithi hai ..


Antra)

Band gharo’n kay darwazo’n ki veerani kya veerani hai

Jitna apni nazro’n ko veeran banaye baithi hai ..


Antra)

Jaltay khuwabo’n ki tabeerai’n poochay gi ab ro ro ker

Nani Salma ko wo ghar main aaj bulaye baithi hai ..


Antra)

Akbar aur Asghar ki batain khud say hi wo kertay kertay

Jitnay bhi hain ankho’n main wo ansoo laye baithi hai ..


Antra)

Meri bhi faryad suno ab meri manat poori ker do

Nana teray rozay per ek dukhiya aaye baithi hai ..


Antra)

Lagta hai Ejaz Amar yeh Sughra apnay ujray ghar main

Dil main bhai say milnay kay khuwab sajaye baithi hai..